Do-Char Nahi Mujhko… Bas Ek Dikha Do,
Woh Shakhs Jo Baahar Se Bhi Andar Ki Tarah Ho.
Wohi Zamin Hai Wohi Asmaan Wohi Hum Tum,
Sawal Ye Hai Zamana Badal Gaya Kaise.
Kabhi Toh Apne Andar Bhi Khamiyaan Dhunde,
Zamana Mere Girebaan Mein Jhaankta Kyu Hai.
Unchi Imaaraton Se Makaan Mera Ghir Gaya,
Kuchh Log Mere Hisse Ka Suraj Bhi Kha Gaye.
Zamana Toh Bade Shauk Se Sun Raha Tha,
Hum Hi Ro Pade Daastan Kahte Kahte.