Suna Hai Ab Bhi Mere Hathon Ki Lakeeron Mein,
Najumiyon Ko Muqaddar Dikhayi Deta Hai.
Jal Ke Aashiyan Apna Khaak Ho Chuka Kab Ka,
Aaj Tak Yeh Aalam Hai Roshni Se Darrte Hain.
Khuda Ya Nakhuda Ab Jisko Chaaho Bakhsh Do Izzat,
Hakiqat Mein Toh Kashti Ittefaqan Bach Gayi Apni.
Kagazon Pe Likh Kar Zaya Kar Dun Main Woh Shakhs Nahi,
Woh Shayar Hun Jise Dilon Pe Likhne Ka Hunar Aata Hai.
Bhool Kar Bhi Apne Dil Ki Baat Kisi Se Mat Kahna,
Yahan Kaagaz Bhi Jara Si Der Mein Akhbaar Ban Jata Hai.